Aaradhna mein hai chutkara,
aaradhna mein hai changaii
Shareer pran aatma mein shanti anand deta hai
jaan se pyara prabhu
Prarthna kare aradhna kare,
Wo aacha hai sabse bhala hai
Chutkara paaye humesha
Mangoge tumhe milega,
dhundoge tum paaooge
Khatkhatao khulengi swarg ki aashishe
paao tum usse aabhi.
Prarthna kare aradhna kare,
Wo aacha hai sabse bhala hai
Chutkara paaye humesha
Prarthna karo nirantar,
prarthna karo vishwas se
Dharmi jan ki prarthna vishwas ki prarthna
kholti hai sare bandhan
Prarthna kare aradhna kare,
Wo aacha hai sabse bhala hai
Chutkara paaye humesha